Chand Ichhaon ki Ek Parchi

Zindagi

Lehro ki talash me main bhi niklta hu
Suraj ki garam chau me main bhi chalta hu
Is haqiqat se badi duniya me
Chand ichhaon ki ek parchi
Main bhi jeb me rakhta hun

Naa maangta hu kuch kisi se
Na fizul se ye aas rakhta hu kisi se
Na armano ko udaan di kabhi itni
Ki haq jatau kisi pe
Sukun yeh mere mann ka
Wafadar hai apne hisse se
Kismat ke dhage ko main bhi parakhta hun
Chand ichhaon ki ek parchi
Main bhi jeb me rakhta hun

Khuli aankhon se sapne main bhi dekhta hu
Apne sath lai har shaam ki woh thakan main bhi mehsus krta hun
Jhoot se bhari yeh mehfil me sach ko aaj bhi dhundta hu
Achai ki ek lau mann me main ab bhi jalaye rakhta hun
Chand ichhaon ki ek parchi
Main bhi jeb me rakhta hun

Majburi se ishq main bhi farmata hun
Sath yeh akelepan ka muskurahat se apnata hun
Tufan me chupi uss baarish ki bund se mann lagata hun
Amwas ke is gehre andhere me sitaron ko chand banata hun
Manzil ki aas me tadap rahe in kadmon ko bewkuf banata hun
Chand ichhao ki ek parchi
Main bhi jeb me rakhta hun

Ladai yeh mere jevan ki badi gambhirta se ladta hun
Jeb me Sikka ek ho ya do daan me vishwas rakhta hun
Na thokron ka na balidano ka
Bs samay ka hisab rakhta hun
Mann geela ho ya udaas
Baatien aaj bhi achi karta hun
Chand ichhao ki ek parchi
Main bhi jeb me rakhta hun

Abhishek Rohila

Follow him at @1feeler

Click here to check out posts of other contestants.


198 Comments

Jags · August 27, 2020 at 17:46

Shandaar…!

Kritarth · August 27, 2020 at 17:44

Kya likhte ho bhai aap…ek number 🙌🏻

Pooja · August 27, 2020 at 17:43

Amazing content 😊

Toshi · August 27, 2020 at 17:42

Baht badiya 👏🏻

Vishu · August 27, 2020 at 17:32

Awsm 🤗keep it up

Sunshine · August 27, 2020 at 17:14

Wow Abhiii…so well written…

Manju · August 27, 2020 at 16:57

Bahot khoob 🙏

Jags · August 27, 2020 at 16:54

Kya likha h…how do even get this imagination…

Kusum · August 27, 2020 at 16:49

Behtareen..👍🏻

Jagriti · August 27, 2020 at 12:02

Wow…this is so beautifully written. 🙏

Comment here