Pyaar Nahi Hota Izzat Se Bada

Heer ranjha laila majnu aj isme ek kahani or jud jayegi,
kya pata tha ishq mohabbat pyaar ke hisse me ek din mout bhi aajayegi..

me kahani ke panne palat ti rahi – 2
akhir me kora kagaz aagaya
aaj mere katl ka tamasha dekhne,
pura zamana agaya
naa Hafiz ne ifazat ki,
na rakhi meri Sai ne
mohabbat ki arzi daali mene Ali ko thi – 2
wo faad di bhagwaan ne
wo hindu me musalmaan hu
wo jaat me brahmin hu
wo sikh me isaai hu
uska baap mera waleed alag hai – 2
mera mazhab uska dharam alag hai.

meri mohabbat ki mout ki wajah – 2
meri mohabbat hi bani thi
izzat ki jung me sooli usdin me bhi chadi thi
mere devta mere ishq me haiwaan bane the,
taqdeer ne mere qaatil -2
mere apne hi chune the
daleel-e-adalat me aati – 2
usse pehle taqdeer ne faisla suna diya
daleel-e-adalat me aati,
usse pehle kudrat ne faisla suna diya
pyaar nahi hota izzat se bada – 2
isi baat ka mukaddma chala diya

dooriya agar yaha ki hoti,
to baato se samjha lete
dooriya agar dil ki hoti,
to baato se samjha lete
faasla to soch ka tha,
usko kaise mita dete
khushiyo ke chulhe par – 2
samaj ka wasta rakha tha
jaat naam ka yagya jala,
ahuti to hume ban na hi tha

khoon se latpat – 2
zameen ka wo hissa pada tha
mere mehboob ne,
wahi par dam toda tha..
kaanpa to khuda ka bhi arsh hoga – 2
jab mere dil ne un sab ko kosa tha
badi bechain raat thi wo – 2
zamane ki cheekh me meri,
zamane ke shor me meri cheenkhe dabi thi
meri aankho ke samne,
safed chadar me lipti uski doli chali thi
mere bhot chillane par bhi – 2
wo iss bar mud ke naa aaya
mere hijr ki dastaan,
is bar mout par thami thi

janaza mera, arthi uski jali thi – 2
uske jism me dafn hokar – 2
rooh meri bhi jali thi
meri mohabbat ka ant kuch is kadar huwa – 2
meri haar se unki jeet badi thi..meri haar se unki jeet badi thi..

Arshnoor kaur

Follow her at @Kaur_arsh444

Click here to check out posts of other contestants.


128 Comments

Parkash Chander Khanna · October 13, 2020 at 10:18

Arshnoor, you are really a multi talented girl. The poem is very heart touching. 🙏

Kanwarjit Singh Thukral · October 11, 2020 at 23:42

Very nice use of words. Your writing is much mature according to your age. God bless

Avinash Kaur · October 11, 2020 at 20:01

Really great.Keep it up.

Simrati Nanda · October 11, 2020 at 15:22

I really like your lovely poem. Fantastic job.God bless you.

    Baljit singh · October 11, 2020 at 19:55

    Very nice and heart felt poem . God bless you.

Daman · October 11, 2020 at 13:34

Beautiful written

    Daminder · October 11, 2020 at 16:59

    Amazing

Satpal Singh Chatrath · October 11, 2020 at 12:28

DearArshnooe.I like your lovely poem.k3ep making efforts to write more. May Satguru ji bless you.

Varinder Kaur Thukral · October 11, 2020 at 12:17

You’re blessed girl.

Comment here