Stree, Tera Astitva Na Ho Jaye Gum

Streee !!
Subah ka suraj bhi tum,
Rat ki chandni bhi tum ,
Aasman ki ginti mai chuta vo sitara bhi tum,
Jisko nav na mile uska behka hua kinara bhi tum,
Is bheed bhari duniya mai Aeee stree kahin tera astitva na ho jaye gum !!

Toote hue aayne ki bikhri kanch bhi tum,
Toote hue dil ka sambhala illaj bhi tum,
Aasman ki udaan bharne vali aajad panchi bhi tum,
Jis pinjare mai kaid us parinde ke paar vo parinda bhi tum,
Is bheed bhari duniya mai Aeee stree kahin tera astitva na ho jaye gum !!

Stree toh stree hai janab, nam usko bhale hazaar diye hai !!
Na umar dekhi na kabilta jaan bhi toh lakhon ki gayi hai
Koi Durga kahe,toh koi Laxmi, toh koi kahe Kaali
Fir beti hui toh dukh aur beta hua toh diwali

Ye kya baat hui JANAB ???
Aeee stree tum kuch iss kadar bemisaal ho,har kisiki shaan ho
Ki tumhare samne toh ,Lakhon Tajmahal, Qurban ho !! Qurban ho !!

Priya Kawra

Follow her @_priwrites_

Click here to check out posts of other contestants!


0 Comments

Comment here