Dussehra - Ek sachhi kahani
Dussehra – Ek sachhi kahani

Ek kahaani, achhayi ki buraayi par jeet ki ye kahani! Dussehra – Ek Sachhi Kahani

Umr : 9 saal
Kaksha : Chauthi

Tyohaar tha humare ghar,
Par kis cheez ka woh yaad nhi,
Rishtedaar sab aaye the khushiyaan, mithaiyaan sang laye the,
Saath aya tha woh bhi fir ek dafa,
Sabke samne chocolates, toffiyan, “humari pyaari baachi” keh kar pukarnaa
Aur ek pal me jaise hi sab khaane ki aur badhte,
Tab hi firse “humari pyaaaari baacchi” keh kar zaleel karna

Sabke samne waale sparsh ka aur uss andhere kone wala paap ke andar fark bohot tha
Awaaj cheekh uth-ti thi meri
Behre ban jaate the tab sabhi
Ganda sa woh sparsh ke khel mein,
Reh jati thi meri cheekh dabi

Anth me woh bolte, “kisiko batana nhi, yeh pyaar jatane ka tarika hai”
Nadaan dil ko bura toh lagta tha
Lekin bado se tehjeeb se baat krni hai
Yeh maa ne sikhaya tha

Mai usdin roti thi bohot sara,
Darti thi rishtedaaron se,
Ki kahi yeh khel fir na de koi dohra

Mummy ne ek roz paas bitha kar kaha,
Kyu socialise nhi karti tum,
Ab kaise keh deti unse,
Ki kaha ho chuki tumhari beti gum

Khai jaisa tha woh haadsa mere liye,
Fir wohi ganda pyaar jatane ka khel hota tha har tyohaar

Khayal aaya ekdin rote rote,
Ki ab nhi bohot ho gaya
Akhir kyu mai sehti rahu?
Kyu itna badhaava deti rahu?

Maa ko paas bula kar khamoshi ko cheerte huye kaha maine woh do saal ka sangharsh mera
Maa royi, mere aansu pochhe or fir kaha
“Kisi se naa kehna”

Uss din mai bikhar gyi, iss se pehle toh bas tooti thi, or rone ke baad kuch na kuch kar ke sawaar leti thi khud ko
Magar us din, fir se apne aap ko sahejne ki himmat kho gayi

Bathroom me lock kar ke roti thi, cheekhti thi, kosti thi…Marti thi khudko
Andar ka jwala itna badh chuka tha ki jala kar raakh karna chahta tha ab sabko
Magar halaat mere bas me nhi the,
Bhadti umr k sath sath
Tamiz or tehzeeb ab mere nabz me nhi the
Itna nafrat karwa diya khudko mujhse
Ki saare rishte naate jhulas gaye, or ab pyaar nhi tha kisi se

Yeh angaar ankho me bharte hi, ek tyohaar fir samne tha
Iss bar nighahon me lachaari aur bebasi na dekh,
Woh darinda bhi bohot ghabraya tha

Na jaane kaha se shakti aayi itni,
Ki jor se chaanta kheecha uske muh par,
Hairaan sab, waha maujud the jitne bhi
Bathroom ke band darwaje me chhupi huyi si cheekh ko jaise taise bahar layi,
Ankhon me aansu the, par fir bhi naa ghabrayi
Woh saare “pyaar jatane k tareeke” sabke samne mai layi
Maa papa ne shaabash keh kr kaha
“Ab hogi karwaahi”.

Yeh tyohaar mujhe bakhubi yaad tha,
Raavan ka dehen hua tha,
Jagmagata hua khushiyon waala mera pehle Dussehra jo tha.

Riya

Follow her writings on Instagram @the_bindi_writer

For submitting your write-ups, stories, poetries and prose, click here!

Follow us at :-

Youtube, Pinterest, Facebook

Submit your writings, poetry, short story, prose here. We will review them, and post the best ones on our website and give all the necessary credits!


3 Comments

Рестраця · February 26, 2024 at 10:16

Can you be more specific about the content of your article? After reading it, I still have some doubts. Hope you can help me. https://www.binance.com/uk-UA/join?ref=T7KCZASX

Vytvorit osobní úcet · May 18, 2023 at 12:15

Thank you for your sharing. I am worried that I lack creative ideas. It is your article that makes me full of hope. Thank you. But, I have a question, can you help me? https://www.binance.com/cs/register?ref=UM6SMJM3

1straightforward · February 17, 2022 at 20:31

1flexible

Comment here