We have legends in our poetry field. Among those is one Dushyant Kumar who has written some briiliant pieces. Tu Kisi Rail Si Guzarti Hai is one of famous Kumar Dushyant Poetry . Inspired by that poetry, here is one version of it.
Share these quotes and sayings images with your friends on Whatsapp, Facebook, Instagram and let them know how you feel.
Every quote and writeup here on our website are the original content of our generous authors.

Agar main karm se vachan se zimmedari se jawabdari se azaad hota,
Toh Banaras ke ghat pe baithta tumhare sath aur tumhare baal sehlata,
Tum kisi rail si guzarti mujh par se,
Main kisi pull sa thartharata,
Tumhare saare dard, saare dukh,
Ek jholi mein bhar kar, ganga mein baha aata,
Tum kisi rail si guzarti mujh par se,
Main kisi pull sa thartharata,
Apna har ek khwab, apni har ek manzil,
Sab ko nazakat se tay lagakar rakhta sirahne tumhare,
Aur tumhara dupatta sawarta,
Tum kisi rail si guzarti mujh par se,
Main kisi pull sa thartharata,
Main jo hasil ki muhrat hu, sikandar sa mustaqil,
Tumhari baahon mein simatke, sirf ek dafa, hara hua kehlata,
Tum kisi rail si guzarti mujh par se,
Main kisi pull sa thartharata,
Meri har ek saans mein tumhara naam hota,
Zarra zarra tunhara ansh kehlata, mere rom rom mein tum khilti,
Aur tumhari khushbu se saare Banaras mehkata,
Tum kisi rail si guzarti mujh par se,
Main kisi pull sa thartharata…..
by
CA Nitin Kaushik (Imaginary_Lands)
Click here to check out other quotes related to Love Shayari, Life Shayari, Motivational Shayari, Daily Shayari, Relationship Shayari and many more.
Follow Imaginary Lands Stories on all social networks, Youtube, Instagram, Pinterest and Facebook.
Check out more sher-o-shayari here!
1 Comment
開立binance帳戶 · April 15, 2023 at 04:52
Thanks for sharing. I read many of your blog posts, cool, your blog is very good.