Ramadan Mubarak - Story of Secular India

Yeh toh siyasaton ka takaza hai,

warna pehle mazhab ek dusre ka saath nibhaya karte the,

main bhi bada hua hun musalmano ke beech,

roti kum padne par, hum ek hi thali mein khaya karte the,

meri maa ke paranthe mujhse jyada unko pasand the,

woh bhi Eid pe mere liye kheer le aya karte the,

na babri ka zikar tha wahan,

na ram mandir ke itihas ki ladayi,

hum bas ek dusre ki mushkilaton mein kaam aya karte the,

kabhi main dargah chale jata tha saath unke,

kabhi woh diwali par milne ajaya karte the,

mujhe bhi tha apne quraan-e-gyaan par guroor,

woh bhi geeta ko galat na thehraya karte the

ramzano mein main bhi bhookha reh liya karta tha saath unke,

navratro mein woh bhi khana na laaya karte the,

takaza mehaz siyasaton ka hai aaj,

warna mazhab pehle ek dusre ka saath nibhaya karte the,

namaz mein dua karlete the woh bhi mere khairiyat ki,

meri bhi ibadat mein aksar unke naam aya karte the,

mujhe bhi bakhoob tha milne ka saleekha sabse,

salam-walequm tha mere labon par shaad,

woh bhi haath jod mere maa baap se aashirwaad lejaya karte the,

taleem bhi paayi saath hi humne,

main sikha deta tha sanskrit unhe,

woh mujhe urdu sikhaya karte the,

pathan, khan, siddiqui, qureshi, in sab ke beech hum kuch brahmin bhai the,

hum choote na the madira unke samne,

woh bhi mere samne maas nahi khaya karte the,

baat saari ek dusre ki soch ki izzat karne ki hai,

yeh hindustan zameen kai rangon ki hai,

lahu hai tirange par har mazhab ka hamare,

yun hi nahi ashfwaqullah khan bismil ko apni nazmein sunaya karte the,

takaza mehaz siyasaton ki hai,

ramzan mein ram, aur diwali mein ali hamnesha se aya karte the

main bhi bada hua hu musalmano ke beech
roti kum padne par hum ek hi thaali mein khaya karte the

VIDEO on this poetry, performed at THE SOCIAL HOUSE, is attached below. Please watch and share your thoughts. Happy Ramadan

by CA Nitin Kaushik

Check out my last post “How Quarantine is turning out to be?

Follow me on :-

Youtube, Pinterest, Facebook


4 Comments

binance sign up · May 28, 2023 at 00:32

Your enticle helped me a lot, is there any more related content? Thanks! https://www.binance.com/en/register?ref=P9L9FQKY

binance us register · May 17, 2023 at 04:10

Can you be more specific about the content of your article? After reading it, I still have some doubts. Hope you can help me.

Alka panchal · May 17, 2020 at 13:34

Bahot khoob đź‘Ť
Rishto k beech chupe pyarr ko dekhne k liy bs ek sahi nazariye ki jrurt hoti h. y nazariya sbi me aajaye to dharm naam ki diware b shyad kum ho jaye

    admin · May 17, 2020 at 19:59

    Thank you soo much Alka
    you indeed have a beautiful perspective towards humanity & equality

Comment here