
Shayari/Nazm/Ghazal – Youtube Video
Bas yahi kuch itlja kuch akhri khwaish hain meri, tum jaate jaate sunti jao,
Tum karlena pyaar fir ek bar, fir ek baar haath thaam lena kisi aur ka bheed mein, par apni choti ungli se uski hatheli mat sehlaana,
Ab zulfein khole rakhne se toh nahi rok sakta main tumhe, par kisi aur ke kehne par bandhi hui zulfein kholna mat tum, na hi kisi ko uss ek baaghi zulf, jo tumhare har kaam mein rukawat banti hai, haamn wahi jo kaan ke pass se hokar dhime se gaal par ajati hai, kisi aur ko usse uthakar tumhare kaan ke piche mat rakhne dena,
Woh honth tumhare, haamn wahi honth jinka mere honto pe rakhe jaane se hamara saath hona mukammal hojata tha, wahi honth, choom lena unse kisi aur ke honth tum, par chumne se zara ek ghadi pehle, jis tarah meri ankhon mein dekh kar apni ankhon mein kaid uss mohabbat ke sehlaab ko azaad karti thi tum ashqon ke roop mein, uss tarah mat dekhna kisi aur ko,
Khair jab itni baatein bol hi di hain toh yeh bhi sunlo,
Jo ek hi bistar par sojao tum kisi aur ke sath, toh yaad rahe, uski saanson ki garmahat tumhari gardan par na mehsoos ho tumhe, uska sar apni god mein rakhke uske baalon mein haath phaira kar uske sabhi ‘lekin‘ ka katal mat karna tum jaise mere kiya karti thi, zara kuch ‘lekin’ bhi zaruri hote hain, kahin woh tmhari mohabbat se beparwah hokar bezaar hogaya tumhari mohabbat se, jaise tum ho gayi, toh tum toot jaogi, jaise main toot gaya,
aur haan,
Uski maa bhi laegi woh motiyon ki mala tumhare liye, rakh lena, par koshsh karna ki pehno nahi tum, darasal meri maa bhi mere hi jaisi hai, unhe bhi acha nahi lagega jab tum unke hak aur unke hisse ki mohabbat kisi aur ki maa ko dedogi,
Bas yahi kuch baatein thi, jo main chahta hu ki tum khayal rakho inka, waise hi jaise mera rakha karti thi,
Bas yahi kuch itlja kuch akhri khwaish hain meri, tum jaate jaate sunti jao.
by
CA Nitin Kaushik (Imaginary_Lands)
Click here to check out other quotes related to Love Shayari, Life Shayari, Motivational Shayari, Daily Shayari, Relationship Shayari and many more.
Follow Imaginary Lands Stories on all social networks, Youtube, Instagram, Pinterest and Facebook.
Check out more sher-o-shayari here!
2 Comments
gate.io · June 2, 2023 at 23:08
I may need your help. I tried many ways but couldn’t solve it, but after reading your article, I think you have a way to help me. I’m looking forward for your reply. Thanks.
1florence · February 17, 2022 at 19:27
1partakes