Bohot sher likhe, kuch nazmein bhi, par yeh “Pehle Pyaar ki Pehli Nazm” sabse kareeb hai mere

Woh hamara raat raat bhar baat karna shayad yaad nahi ab tumko, hoga bhi kaise, iss rishte mein itni dhundh jo agayi hai,

haa meri baat kuch aur hai, woh saari baatein jo ki thi humne, mujhe woh bhi yaad hain.

Unmein se kuch baatein, kuch calls maine record karli thi. Shayad pata tha mujhe ek din yeh sab bohot peeche chuth jaega ya shayar ek din tumhare hi sirahne let kar, tumhare hi saath, sun na chahta tha main woh sab.

Woh jo ek sweater tumne diya tha mujhe, ek din garmi mein pehen baitha main,

jab shareer ko raas nahi aya aur bukhar hogaya, toh sirahne rakh kar so gaya tha.


Pehle Pyaar ki Pehli Nazm
Pehle Pyaar ki Pehli Nazm

Woh saari jagah jahan saath ghumne gaye the, fir kisi aur ke saath nahi gaya main,

haa ek do dafa akela zaroor gaya, wahi sab yaad karne jo tum wahin kahin bhool aayi ho.

Aur woh kuch teen sau tasveerein hamari, hatayi nahi gayin mujhse. Koshish bohot ki, par fir himmat nahi hui. Woh saari tasveerein mujhe yaad dilati hain ki bohot duaon ke baad ek baar tum mere behad kareeb aayi, aur hum itne pass the ke tumhari ek ek saans mujhe chu kar guzar rahi thi. Aur haa woh tumhari khushbu, jo mere zehan mein aaj bhi hai.

Bas yahi sab yaad dilati hain woh tasveerein.

Aur woh jo waade maine kiye the tumse, woh ek bakse mein band karke rakh diye hain, tumne nibhane ka mauka nahi diya,

Kisi aur ke saath main nibha nahi paunga.

by CA Nitin Kaushik

Check out my last post “Maine Usko Tadpaya Hoga

Follow me on :-

Youtube, Pinterest, Facebook


2 Comments

20bet · September 19, 2023 at 04:38

Your article gave me a lot of inspiration, I hope you can explain your point of view in more detail, because I have some doubts, thank you.

2aphrodite · February 17, 2022 at 20:34

2chargers

Comment here