Sadness is a natural part of life that’s usually associated with certain experiences of loss or pain. But despite all the pain associated with it, sadness has some benefits as well. Here is a poem Tumhara Shahar Or Tum for you to read.
Share these quotes and sayings images with your friends on Whatsapp, Facebook, Instagram and let them know how you feel.
Every quote and writeup here on our website are the original content of our generous authors.

Sheher ki daud se pareshan,
Ruk kar zara aaram karna chahta hu,
Khud mein thehraav aur thodi saadgi lana chahta hu,
Main ek dafa Lucknow jana chahta hu

Haa saaf zahir hai, main kaunsa kabhi
Lucknow gaya hu,
Iss shahar ko jitna jana, sab tum hi se jana,
Main aksar aisa kehta hu, jab tum kisi k behad
Nazdeek ajate ho, Bohot Qareeb,
Kisi shaks ko bohot qareeb se jan lete ho, toh tum
Uske sheher ko bhi jaan lete ho,
Log shehron me rhte hain,
Par shahar bhi logop me rehte hain.

Tumse kuch aisa jana hai Lucknow ko maine,
Shaant, thehra hua,
Shaant, thehra hua, aur har khoye hoye musafir ka ghar
Hai Lucknow,
Jaise tum mera ghar thi,
Main aksar aisa sochta hu ki kya wahan ka har
Shaqs tumhare jaisa hoga?

Bilkul saada,
Bilkul saada, lekin behad khoobsurat,
Har ek chis ko sahi aur galat ki nazar se
Dekhna,
Shor bhi karna, toh shanti se,
Koi bade bade shauk nahi,
Lekin chai ke liye ek dum pagal,
Khudko sab se akhir mein rakhna,
Aur har kisi ko khud se pehle,

Maa ki ek baat na man na,
Lekin unka poora khayal rakhna,
Pyaar bhi karna toh chup chap,
Pyaar bhi karna toh ek dum chup chap,
Bin bataye bin jataye, bina kisi izhar ke,
Par haan,
Har ek choti badi cheej ka zikar kar dena,

Kabhi ghanto ghanto chup rehna toh kabhi
Ghanto Ghanto chup hi na hona
Apne andar ke saare dard chupa ke rakhna,
Dab jana unke bhaar ke tale,
Aur auron ke har ek dard par ro dena,
Khud tootna, aur dusron ko jodna,
Shikayat bhi karna toh behad masumiyat se,
Par haan poore hak se bhi,

Career ki bhaag daud mein jutte rehna,
Phir bhi ek thehraav rakhna andar apne,
Ek nayi zindagi de dena kisi musafir ko aur,
Fir ek din, alvida keh dena usse,

Tumhare hi jaisa hai tumhara sheher bhi,
Bohot apna, aur akhir mein,
Ek dum paraya
by
CA Nitin Kaushik (Imaginary_Lands)
Click here to check out other quotes related to Love Shayari, Life Shayari, Motivational Shayari, Daily Shayari, Relationship Shayari and many more.
Follow Imaginary Lands Stories on all social networks, Youtube, Instagram, Pinterest and Facebook.
Check out more sher-o-shayari here!
1 Comment
binance registrácia · May 18, 2023 at 23:20
Can you be more specific about the content of your article? After reading it, I still have some doubts. Hope you can help me.